Us Paar? Kis Paar?
Arey Us Paar?
Deewar ke us paar Padosi
Sarhad ke us paar Padosi Mulk
Aasmaan ke us paar taarey
Par taarey toh aasmaan ke is paar bhi hain
Toh?
Taarein toh sarhad ke is paar bhi hain
Toh kis paar hoga jab us paar hoga?
Us Paar? Kis Paar?
Arey Us Paar?
Zindagi ke us paar shayad roshni shayad andhera
Toh?
Andhera toh Zindagi ke is paar bhi hai, aur shayad nahin.. pakka hai
Par gaur se dekho toh shayad is paar roshni bhi mil hi jayegi
Kahan ?
Dekho toh sahi ..
Ghane andhere ke baad aksar is paar roshni aati hai
Aur us paar?
Us paar kis paar?
Arey Lockdown ke us paar?
Acha! Lockdown ke us paar..
Pata nahin yaar...
Pehle deewarein pata thi toh darwazey bana diye us paar jaa sakein
Sarhadein pata thi toh taarein aur lakeerein kheech di ki us paar na jaa sakein
Antariksh pata chala toh space ship bana di ki us paar ja sakein
Aur khatra pata tha toh firewall bana di ki us paar na jaa sakein
Jaana hai tumhe us paar?
Haan .. Ghoomne ka bohot shauk hai.. mera matlab hai tha.. ye dekho
Fancy passport cover.. 2019 mein decide kiya tha ki puri duniya ghoomke bhar dunga isey
par ab pata nahin us paar jaane ko milega bhi ya nahin
Kabhi socha hai us paar kaisa hoga sab kuch ?
Kya tum usi tarah apne jigri ko galey laga paogey?
Sadkon pe paani puri aur chaat ke chatkaare laga paoge?
Kitna alag hoga tumhara bartaav apni maids aur house helpers ki taraf?
Kuch bhi bolo
Insaaniyat mein toh thoda bohot Ijaafa* hua hai is lockdown se
Insaaniyat aur dil dono ka hi Ijaafa hua hai
Haan.. Asli mein dil kaafi badey ho gaye hain
Par utna hi patience ki takhfeef* hui hai
Ab ruka nahin ja raha dekhne ke liye ki us paar aakhir hai kya?
Kya us paar kabhi ja bhi paayenge?
Apne dil kareeb ko Cchoo bhi payenge?
Kaisa mausam ho gaya hai
Kaisa?
Pehle ke zamane mein ..
Pehle ke zamane mein matlab?
Matlab in pre - Covid times
Acha mujhe laga aap B.C. ki baat kar rahe hain
Nahin nahin
B.C. aur A.D. dono hi bohot puraaney ho gaye
Ab toh humare liye
purana zamana matlab March ke pehle ke wo 30 saal jo hum jee chukey
Jee bhi chukey?
Arey Jiye kya..
Aisa lag raha hai 30 ke 30 saal barbaad hi kar diye
Ab jaake jab waqt ki koi ehmiyat nahin bachi
Tab waqt ki ehmiyat sab se zyaada samajh mein aa rahi hai
Waqt ki kya ehmiyat nahin bachi ?
Yaar mere liye toh nahin bachi ..
Kyun nahin ?
Kyunki Koi puchne wala hi nahin hai?
Hmm
Acha toh jab koi puchne wala tha toh tum toh bada hi maan lete the na..
Hmm.. Nahin
Toh phir bahane maarna bandh karo
Hmm.. Acha hai
Toh jab waqt ki koi ehmiyat hi nahin bachi
tab uski ehmiyat ka andaaza pata chal raha hai
aur ye bhi pata chal raha hai ki
Pichley 30 saal toh race mein daudte daudte barbaad kar diye
Race?
Kaunsi Race?
Pata nahin kaunsi race thi mui..
Pata nahin tha kaunsi race thi
Phir bhi bhaag rahe the ?
Hanji..
Yaar ye toh wohi baat ho gayi ki Mummy ko pata tha fancy dress competion hai phir bhi tumhey relay ki practice karva rahi thi
Haha.. Haan .. aur pata hai jab school pohoche aur sachchai saamne aayi toh kya kaha mummy ne teacher se ?
Kya kaha?
Ki haan toh?
Ye fancy dress mein sportsman bana hai
Chalo beta .. Bhaag ke dikhao !
Phir kya hua?
Phir kya?
Maine bhaagna start kiya
Phir?
Phir 30 saal nikal gaye..
Oh Teri!
Toh pata hi nahin tha jaana kahan hai ?
Na..
beech beech mein kuch pitstops aaye jahan aisa laga ki shayad idea hai ki kahan jaana hai
Par.. Ab aisa nahin lagta kahin jaana bhi hai
Us paar bhi nahin jaana ?
Ye us paar jaane ke chakkar mein hi toh yahaan phasey hue hain 90 din se
Matlab ?
Matlab
Us paar bhi wohi hai jo is paar hai
Pehle is paar ko toh sambhaal lo
Phir us paar ke baare mein soch lena
Is paar ka kuch idea nahin hai
aur us paar ko explore karne chale hain
Aaye badey!
You mean
Jab tak is paar sab theek nahin kar lete
Tab tak us paar jaane ka koi matlab hi nahin hai
Correct
Nahin toh race kabhi khatam hi nahin hogi
Jab tak jo haath mein hain usey sambhaal na lo samajh na lo
Tab tak us paar waale ke haath mein kya hai wo jaan ne ka koi matlab hi nahin hai
Us paar ke haathon ke peechey bhaagte bhaagte ye haal hai ki
Ab us paar toh kya is paar mein bhi kisi se haath nahin mila sakte
Isiliye
Apne haath mein jo bhi hai usey sambhaal ke rakho
Kahin Phisal na jaye waqt ki tarah jo is paar phisal raha hai
Ek saal jo humesha itihaas mein yaad rakha jayega
Us saal ka humein khaali sofa Tv aur laptop yaad rahega
Slambook mein milestones kaise lagayenge?
Kya likhenge
Is paar kya kiya tha
Jo us paar jaane ki latt lagi thi?
Deewaron ke us paar jaane se pehle socho
Ki Deewar ke is paar sab theek hai ?
Sarhadon ke us paar jaane se pehle socho
Ki Taaron ke is paar kya sab theek hai ?
Zindagi ke us paar jaane ke pehle socho
Zindagi ke us paar jaane ke pehle socho
Zindagi ke is paar kya sab dekh liya hai,seekh liya hai,jee liya hai ?
Khud ke us paar jaane se pehle socho
Kya Khud ke is paar sab samajh liya hai ?
Finish Line ke us paar jaane ke pehle socho
Ki Finish line ke is paar bhaag kyun rahe hai ? Ye Samajh liya hai ?
*Ijaafa - Enlargement
*Takhfeef not takleef - Decrement
Actually takleef hi hai Patience ka decrement
Na?
Comment No. 1 : Conversation 2 logon ke beech mein nahin hoti hai ?
Me : Hoti hai
Comment No. 2 : Toh Phir ?
Me : Toh Phir kya?
Comment No. 3 : Dusra Insaan kahan hai ?
Me : Apne Ghar.. Lockdown hai na ? Tum bahar ghoom rahe ho ?
Comment No. 4 : Ch#@ti**
Really Nice ❤️
ReplyDeleteWow
ReplyDelete