Monday, June 29, 2020

Lockdown Conversations : Cheesy Baatein


Cheesy Baatein Matlab? Random baaton se Cheesy Baatein ? 
Hello? What is?

Cheesy baatein matlab wo baatein jo hum bina soche samjhe apne aap se sochte hain aur karte hain 

Toh Random baaton mein bhi toh tum kahan sochte samajhte ho
Toh? What is the difference ?

Difference hai 
Random baatein aap kisi se bhi karte ho ya kar sakte ho
but cheesy baatein most of the times sirf uske saath karte ho jiske saath aap comfortable ho 
Jiske saath vulnerable hona risky nahin lagta
Jo tumhe bewakoof samjheingey ki tum kya bole ja rahe ho aur tumhe bura nahin lagega

Mujhe abhi bhi nahin samajh mein aa raha hai bhaisahab
Haan thoda difficult hai 

Chalo I will try again 
Cheesy mode jab ON ho jaata hai tab tum ek bewakoof bacche jaise ho jaate ho, actually bewakoof bhi nahin ho toh chalega, but bacche jaise toh ho hi jaate ho. Jab tumhari gehri daadi aur muchch hone ke baad bhi tumhe " Aww, So cute " ye sunne ka mann karta hai. Jab tum apne most childish self ko kisi ke saamne rakh dete ho. Zyada sochte samajhte nahin ho. Ye wo type ki baat hai Jab bachcha puri tarah chutiya jaata hai aur us smiley jaisa bann jaata hai. 
Smiley Jaisa matlab?
Arey wo wala smiley 
Love is blind wala smiley
Arey wo jo yellow takle ki dono aankhon mein dil bhare hue hote hain 
How is that love is blind waala smiley?
Dono aankhon mein dil bhar jaayenge toh kya Ghanta dikhega?
oooo shit! Maine kabhi aisa socha hi nahin tha 
Hmm.. Ab samjha?
Haan cheesy baaton mein inhibitions aur darr nahin hota 
Aap judgement se nahin darte 
Aap thode jagah se sarak jaate ho

Hmm Aur tab aapko sirf wo ek insaan important hota hai 
Aur us ek insaan ki muskaan

Arey aisa sab toh filmon mein hota hai 
Asli mein nahin hota 

Hmm Hota hoga 
Kisko Pata

Cheesy Baatein : Filmon Wala Pyar


Wo jo filmon wala pyar
Wo jo dekhte aaye hain 
Teen se Tees tak 

Nahin nahin wo hollywood wala nahin 
Wo bollywood wala 
Hindi cinema wala

Cheesy Picturon wala
Haan wohi same to same
Kai baar dekha hai 
Haan aur dekhte dekhte mehsoos bhi kiya hai 
Haan wahi jiska Shahrukh bhagwana hai aur Kajol Devi
Oops that sounded very heavy

Anyway
The question is "Is that for real?"
Yes? No ? May be?


Hmmm...
Filmon wala pyar
Waise toh ye cheez, ye feeling, dekhne mein toh achi hi lagti hai 
Par is sey na hum logon ki life mein problems badh gayi hai 

Wo kaise?

Humney filmon se stalking seekhi, Cheesy baatein karna seekhi, Ladki ka peecha karna seekha
But Us se kuch hua nahin 
Ulta chappal jootey thappad padi
Similarly ladkiyon ne greeting cards aur slambooks bharna seekha, notes share karna seekha, bina kisiko bataye karva chauth ka vrat rakhna seekha.etc.etc.
Result ? Nil

Ab issue ye hain 
Ki ladki Hero ko dekhke " Aww" karti hai 
Same ladki humko same harkat mein "Ja" karti hai 

Nahin nahin 
You are confused my friend

Ladki doesn't like stalking,following and all that baatein 
Ladki likes it to be subtle and real
Wo us pe "Aww" karti hai 

Oh Haan! Correct
My bad 

But anyway 
Filmon wale pyaar mein Ladki and Ladka become each others' universe
Ye filmon wale pyaar ne normal life wale pyar pe bohot load nahin daal diya hai ?

Kaisa load?

Ofcourse there is load 

Seeing se feeling tak
Kneeling se dealing tak

Matlab?
Matlab asli zindagi mein violins bajte hain ?
Tum ek ladki ke liye lad hi jaate ho kya sab se?
Dil ke aagey Dimag aur Dimag ke logic fail hi ho jaate hain kya?

Mere saath toh nahin hua 
But I have seen other people go crazy about each other
I have also seen two individuals abandon their world and make a small world of their own 
I have also seen people fight their families for it

Haan suna toh maine bhi hai 
Mere kuch doston ne ye sab kiya bhi hai 

But main abhi tak ye sochta hoon ki mere saath kab hoga?
Ye same to same?
Mujhe bhi chahiye aisi kahani

Tere saath hua hoga 
Parn tuney dhyan nahin diya hoga
Hum log sab bohot busy hain life mein 
Oh Shit
That Race mentality
Aur waise bhi Mobile Phone aur Social media ne sab raita phaila diya hai 
Commitments se darr toh youngsters ko pehle bhi lagta tha 
Par options ki availability ne unke liye "abandoning or escaping a relationship" ko easy bana diya hai 

Sab kuch apne hisaab se tailormade hona chahiye
Nahin hua toh we get skeptical about it
This is not going to work - Ye aaj ke zamaney mein sab se frequent thought hai logon ke dimag mein 
Hum us lamhe mein ghusney se pehle hi analyse karna chahte hain ki ye baad mein matter karega ya nahin 
Isiliye hum "In the moment" kuch bhi enjoy ya feel nahin kar pa rahe hain

Dating Apps and Social Media Apps pe bohot saare log miltein hain in the last 5 years.
Haan! Thats quite epic, mere best friend ki toh uski random facebook friend se shaadi bhi ho gayi hai. Social media is good.
Haan one in a million ek aisa case hoga hi.
Mere opinions is maamle mein thode alag hain. Even though I have been on social media and dating apps, Mila bhi hoon kai logon se.
And?

And What? Good times ! 
But overall scenario mein bataun toh 
Hypocrisy ki haddhein paar ho jaati hai Dating Apps aur Social media mein 

Social Media : Not looking for a relationship 
Live : Will this work? 
Dating app : Just want to chill 
Live: Is this going somehwere? 
Dating app : Live life in the moment 
Live : What about our future? 
Dating App/Social Media : Dont think too much Just Enjoy life 
Live : Is this worth it? 
Dating app : Not looking for Relationship or Commitment 
Live : Ye kaun hai ? Wo kaun tha? Who are you texting?


I can go on and on 
But scene ye hain ki hum sab logon ki band baji hui hai is confusion mein ki humein kya chahiye
Aur jab humein wo mil jaata hai tab hum sochte hain ki ye worth hai ya nahin 
Aur jab wo wala barrier bhi somehow cross ho jaata hai tab hum ye sochte hain ki work out karega ki nahin 
Hmm toh hum relationship nahin reality gameshow chala rahe hain jahan hum faltu mein hi apne liye task generate karte ja rahe hain
Aur is chakkar mein hum wo time waste kar de rahe hain jo ki shayad wapis kabhi nahin aayega

Filmon mein aisa nahin hota hai 
Filmon wale pyaar mein jab pyar hota hai toh beshumaar hota hai
Ofcourse filmon mein jhagdey bhi hote hain 
Dil bhi toot-te hain 
Divorce aur extra marital affairs bhi hote hain 
Par wo jo starting wala phase hota hai na wo kamaal hota hai 

Par wo starting wala phase toh apni life mein bhi hota hain na ?
The first three months? Jisko hum honeymoon period bolte hain 
Jahan sab kuch acha lagta hai 
Butterflies in the stomach and all that 

Hota hain nahin, hota tha! 
Kyun ki aaj ke time mein hum apni life ko lekar itna darey hue hain 
Ki humari calculations starting mein hi start ho jaati hain 
Hum puri tarah apne aap ko dedicate hi nahin kar paatey us pyaari pyaar wali feeling ko 
Humara 50% us feeling ko mehsoos kar raha hota hai 
Aur 50% darr raha hota hai aur apne counselor aur best friend se discuss kar raha hota hai ki ye real hai na ? This wont hurt me right? I hope this dude is legit and he is not doing all this just to impress me or sleep with me 

Ab mera maanna ye hai 
Ki jo hona hai wo toh hoga hi
Agar wo dude kameena nikalna hoga toh niklega hi
Agar usko aapke expectations pe paani pherna hoga toh wo pherega hi
Par abhi, is moment pe jo wo kar raha hai/rahi hai aapke liye
Jo aapke 50% ko acha bhi lag raha hai 
Aap wo puri tarah se mehsoos kyun nahin kar rahe ho ?

Hum kal ke darr se aaj ko kho rahein hain 
Yahan hai main difference humare wale aur filmon wale mein 


Bhai
Ye cheesy baatein bohot serious nahin ho gayi? Title badalke pyaar ki analysis karna padega

Nahin, Title same hi rehne dete hain 
Kyunki mere hisaab se cheesy baaton ke bina Filmon wala pyaar filmon wala rahega hi nahin 

Waise filmon wale pyaar ko leke ek Sawaal hai
Uff phir se sawaal?
Bhool gaya?
Logon ko tere sawaal nahin chamakte hain
Log link aur logic dhoondh rahe hain 
Motive dhoondh rahe hain ki tuney wo kyun post kiya

Ab unko kaun samjhaye?
Ki tu insaan hi Random Max hai 

But Sawaal toh hai aur important bhi hai 

Wo filmon wala pyaar jo hum dekhte chalein aaye hain 
Kya hum wo kabhi dekh payenge?

Haath Pakadna 
Garden mein ghoomna
Bench pe baithna
Hugs
Cuddles
Snuggles
Love making

Kaise hoga ye?
Bohot logon ki toh dukaan hi bandh ho jayegi.. na?

Toh kya wo pehle wala censored Filmon wala pyaar wapis aayega?
Kaunsa wala?
Arey wohi wala
Jahan 2 phool pakadke hilaate the 
Aur Chimney ki aag dikhate the
Kabhi sunset toh kabhi sun rise
Haath bhi nahin pakad sakte yaar

Toh kaise hoga ab ye wala pyaar?
Filmon ka chhod
May be ye without touch wala phase will become a litmus test to get results on Asli hai ya Fake ye pyaar



* Views expressed in the blog are personal opinions. 
Resemblance to any living Name,place,animal,thing is purely intentional.





Comment 1 : Bohot Pakaya
Comment 2 : What is actual love?
Comment 3 : Sweety Sweety Sweety tera pyaar chaida
Comment 4 : Modi is love
Comment 5 : Bhak Bh0$#)*

1 comment:

  1. Comment 3 : Sweety Sweety Sweety with Awwwwwwwww
    .
    ...that's so cute :)

    ReplyDelete